Baap ko aur bado ko Sneh ka Respond kaise de.

 


Jisse sneh hota hai usko sneh ka respond diya jata hai.. Snehi ke dil pasand bna jata hai...unke samaan bna jata hai....unko sahyog kiya jata hai..unke kartavya mein saath diya jata hai...unke guno ko copy kiya jata hai...koshish ki jaati hai janne ki unhe kya pasand hai...kis baat ki darkaaar hai...mere kahan mould hone ki darkaar hai....samay par kiye sahyog ki bahut value hoti hai...jis cheez ki aavashyakta ho wo poori karne se hi karya bhi safal hote, hum dil par bhi chadte...aisa nai zarurat ek cheez ki aur hum doosri karne lage.pyaas ho paani ki aur hum bhojan khilane lage..aapne toh achha kaam kiya par aatma ko aur baap ko santusht toh nai kiya na. Isliye rachta dwaara rachna aur karmo ki guhya gati ko bhi   samajhna bhi ati zaruri hai..aur wo kab ho sakta jab apni sab kamnayein poori ho chuki ho aur karmo ke bandhan se chhut chuke ho, tab aatma ke andar koi milawat rehti nai kyunki apni koi ichha baaki rai nai. Kuchh paana  baaki rha nai jo yuddh chale, ya soch chale. Toh har dum budhdhi clear ho baap ke directions hi catch karti rehti aur baap ko,teeno kaalo ko, har aatma ke part ko, purusharth ko,apne aur sarvsa  ke karmo ki gati ko spasht samajh paati hai aur samaadhaan karne wali, vighno ko naash karne wali vighanvinashak aatma ban jaati hai..aur aatm abhimaani hone ke karan aur swadarshan karne ke karaan chitt nirmal rakh paati hai Kisi ki koi baat chhitt par thehrti nai. Shama, daya natural ho jaati hai. AChha wapas aate hai us par jo baat chal rahi thi..aisa nai zarurat ho immediate karm mein aane ki aur hum gyaan ka vistaar hi karte rahe. Us samay gyan ko swaroop mein laane ki avashaykta hai...prashno ka samay yeh nai...vyavhaar mein aate, karm mein aate nishchay budhdhi...kiska karya hai...kiska parivaar hai..mujhe hi drama mein chance mila hai..kahan  kahan dhairyata  bhi rakhni padti hai.. sahen  bhi karna padta hai..baap praapti spasht kare tab tak. Isme bada hi vishaaal budhdhi banna hota hai...hum baap ke paas kyu aaye hai, gyan lene,gunwaan banne..samarrpan karne...devta vansh ka banne na ki saudbaazi karne wale ya faida nuksaan ka sochne wale vaishya vansh ka banne. Kahaan shakti  chaiye samaane ki wahan samaane ki jagah deh abhimaan mein aa jate mujhe kyu kaha main kya kam hoon, rees mein aa jate..aur right baat ko bhi right nai maante,saamna karne lag jaate, ulta sulta bolne lag jaate. Fir kaha jata hai brahma bhi utar aaye toh bhi tum nahi maanenge. Takdeer ki hi baat kahenge. 

Achha kam nai ho tum toh wo karo na jo karne aaye ho.. Srimat par chalne, marjeeva banne, mahan banne, trustee banne, karm karm fal ko arpan karne, nishkaam sewadhaari banne. Darte ho kya, mujhe praapti toh ho nai rahi.. Aisa ho sakta  hai kya ki ishwar arth kuchh kiya aur wo jama na ho, uska fal na mile. Baap ko maloom nai kya aapki bhavna ka, aapke nishchay ka, aapke karm ka usko pta hai na aapko kis cheez ki zarurat hai.. Pratyaksh fal ki zarurat hai ya baar baar nishkaam karm kar yeh pavitra sanskaar bnane ki zarurat hai. Bhookha toh mar nai rahe. Needs toh poori ho hi rahi hai. Baap ko kis liye bulaya tha humne pawan bnane ke liye ya vishwa ka maalik bnane ke liye. Is temptation ko jeevan ki satyata toh nai samajh lete. Baap ko pehchaane ki, jeevan ko samajhne ki bahut zarurat hai hume agar aisa samajhte. Jeevan simple hota hai.. Sneh pyar se, sahyog se chalta hai.. Akela koi kuchh nai aur sabke saath mil jaaye toh bahut takatwar hai. Ab sabke saath mil ne ke liye insaan banna bade. Insaan kaisa hota hai.. Insaan mein bhavnaein hoti hai.. Mehsoosta hoti hai.. Galti karne par shama maangne ki samajh hoti hai..Sacrifice hota hai.vishwaas hota hai.. Doosro ko samajhne ki shamta hoti hai... Abhaari hone ke bhaav hote hai... Expression ki shakti hoti hai... Sachchai hoti hai... Aur hum kya karte jo btana chaiye wo chhipate hai aur jo chhipana chaiye wo btate hai. Ye nai sochte koi achha kaam karle aaj hi kar le, kal mauka mile na mile, apne aas paas walo ko sukh dede, kahan bhatak rha hoon main.. Kisko secure kar rha hoon main.. Aatma toh secure hai  hi agar wo ghar mein hai.. Ghar mein arthath ghar ke attitude mein hai.. Ghar mein sneh hota,     sahyog hota hai, hisaab nai hota, dene ki bhavna hoti hai. Vishwaas hota hai.. Manaya jata hai ek do ko, raazi kiya jata hai ek do ko, care ki jaati hai ek do ki, poocha jata hai ek do ko, share ki jaati hai man ki baatein, samaai jati hai ek do ki kamiya.. Shakti badai jaati hai ek do ki achchi baatein yaad dila ke, ek do ki mahima karke, ek do ko special feel karake. Ek do ki kamiyon ko bhar ke. Sahara ban ke, aise toh hum nai kehte ki humne pa liya tumse jo pana tha ab hume tumhari zarurat nai, ab tum bhude ho gaye ho, tumhare mein shakti nai.. ?Ab tum humare kis kaam ke. Ab tumhara part khatam ab hum maalik hai, humari rajai hai, tum Bhai thoda kar bhagwaan ka dhyaan karo. Hum samajhdaar hai hume apni mat nai do. Hume koi tarah ka order nai do.. Hume toko nai.. Hume saavdhan karne ka, hume daantne ka aapko koi hak nai, agar aisa kiya toh hum kabhi aapse baat nai karenge ya aapke saamne nai aaenge, aapse rishta khatam kar denge ya usse bhi uppar ghar chhorh kar ke chale jaenge ya aapko divorce dedenge. Aap humari kamiyan jaan gaye hai, zaroor ab aap ise humare khilaaf use karenge, auro ko btaenge, hume sharamsaar karenge. Hume neecha dikhaengeIsliye hum aage se kabhi apni baat aapse share nai karenge kyunki humara aapse competetion hai, hume aapka bhi baap banna hai.. Hume sabse uncha banna hai, hume apna swamaan badana hai.. Hume kisi ke age jhukana pade , Hume apne pairo par khada hona hai.. Hume rajai pad pana hai. Wah 😂. Re life. Wah re humari shreshth budhdhi. Ghar  ghar banta vishwas se.. Hasi se, khel se, pyaar se, sweetness se, greatness se, santushta se, samajh se, milaap se, sewa se na ki shaq se, misunderstanding se, swaarth se, race se, cleverness se ya oversmartness se. Baap ko bhi kaha jata hai sacche dil par sahib raazi, sacche dimaag ki baat nai kahi usne kabhi. Humesha usne bhatakna band karo ghar laut aao, adopt ho jao, sakaar dwaara mat lo, sakaar ye nai kehta main bhagwaan hoon.. Par isko poora hi anubhav hai.. Gareebi ka bhi, bhakti ka bhi, sanyaasiyon ka bhi, un bhakti marg ki yaatron ka bhi, raajai thaat ka bhi, ghrastha ka bhi.. Sabse kaashi bhakti isne hi ki hai jise naudh bhakti kehte hai..jisme keertan, vandan, sharavan, jaagran,upvaas,daan sab kuchh aa jata hai. 84 ka full chakra bhi isne hi lagaya hai, all round part bhi is drama mein isne hi bjaya hai. Ise koi abhimaan nai hai, isne ek dhak se samarpan kar diya hai apna sab kuchh kanyaon maatao ke aage. Sarvvansh tyaag kar diya hai isliye hi bhagwaan ka rath ban gya hai. Baap iske hi tan dwaara behad ki sewa karate hai. Iska rath bimaar hota hai toh main iske dwaara likhta bhi hoon. Bacchon ko drishti bhi deta hoon.main sadharan tan mein aata hoon, mujhe koto mein koi, koi mein bhi koi pehchaanta hai. Main gupt roop mein apna karya karta hoon. Karta bhi hoon aur karata bhi hoon. Main iske mukh dwaara bacchon ko adopt karta hoon.. Srimat deta hoon. Murli chalata hoon, bacchon ko pawan bnata hoo. . Divya aur alaukik karma karta hoon.. Bacchon ke sath , khelta hoon, raas karta hoon. Unhe shaktishali bnata hoon, karm kar ke dikhata hoon, unhe apne se bhi uncha bnata hoon, kandhe par chadata hoon, unhe sir par chadata hoon, unhe double maalik bnata hoon, main nai banta, tumko bnata hoon. Bacchon ki toh double pooja hoti hai, aatma ki toh shareer ki bhi, meri toh single pooja hoti hai. Baap bacchon ko namaste karte hai, bachche fir baap ka regard rakhna bhi bhool jate hain, baap toh fir bhi kehte hai mere meethe meethe kalp pehle wale 5000 varsh baad aakar fir se mile huye bachche. Is sangamyuga ke suhavne yug kisi mubarak ho.. Mubarak ho.. Mubarak ho.Om Shanti. 

Comments