Ek mat na hone ka karan aur uska nivaaran

 


Ghar kyu tootte hai... Kyunki kartavya palan nai karte..jimmewari nai lete... Nibhate nai hai ek dusre ke saath.. Bore ho jate hai ek doosre se.. Mulya, values , charitra chhorh dete hai...sirf Saudebaji rehti, swartha rehta.. 

Kya office mein question karte hai.. Yeh Kyu karoon..koi sunega...?ans dega..?Yahan toh sab reason pta hai.. Parinaam pta hai.. Aur faida bhi pta hai.. Yahan toh time to time answers bhi milte hai.. 

Sarv ke bhale wali mat hai.. Koi sirf ek ko toh faida nai hai. 

Kyu itna samay gyan mein chalne ke baad bhi hume bahar se answers sunne ki aadat padi hui hai. Kyu hum chahte ki koi hume bahar se thankyou bole, sorry bole, humari praise kare, hume manaye... Hume raazi kare, santusht kare, bahar se respect kare. 

Kyu aata doosro ko kuchh kehte dekh apmaan ki feeling.. Aage badte dekha irsha ki feeling.. Vair nafrat ki feeling.. 

Kyu aata ki hume koi kuchh samjhaye nai... Kya hum teeno kaalo ko jaan kar, aur sarv ka soch kar har kadam uthate hai.. Nai na.. Toh authority se samjhana padega na taaki bhule na ho... Toh use positively kyu nai lete hum aur complaints, criticism, judgemental kyu hote doosro ke liye.. Kya hum khud se itna attached hai ki yeh jaante huye bhi ki bhoole toh ant tak hoti rahegi jabki sampoorn nai bne hai, ki hum guidance ko shukriya bhaav mein lene ki bjaye react karte hai.. Badle ki feeling, critcism ki feeling aati man mein... Agla pichhla... Part, role, achhi baatein sab bhool jate, negative ki cycle bna dete aur dosh doston ko de dete aur kinara karne ka sankalp karte... Kya koi aur jagah hai jahan seekhenge... Drama accurate bna huya hai.. Ye behad ka school hai... Behad ka khel hai.... Pyaar pyaar se.. Khushi se seekhte rahenge, nibhate rahenge toh sarv praaptiyaan hogi nai toh kya paenge. 

Jisne saara khel racha hai... Zaahir hai... Wo hi direction de sakega na. 

Kyu koi karya kaha jaye toh ye aata ki sab kare... Kisi ne us karya ka ek phase complete kar liya independent  hoke aap doosra kar lo... Jab wo pehla phase kar rha tha toh wo ordinary stithi mein tha na aap yog kar rahe the.. Ab use karne do..aage ki planning karne do..Kyu nai hum vishal buddhi bante aur behad ki buddhi rakhte. Kyu nai hum sab ek aim object bnate ki hume apni buddhi surrender kar ek baap ki hi shrimat par chalna hai.. Thoda tolerate karna hai.. Thoda dhairya rakhna hai.. Aapas mein ek do ka regard rakhna hai.. Vishwas rakhna hai... Baat manni hai.. hisaab rakhna band karna hai. Na meri na teri.. Jo yarath hai wo manni hai jisse sabka bhala hai wo manni hai. Apni checking karni hai.. Konsi vriti background mein work kar gai... Irsha, ghrina, vair, nafrat ya comparison. 

Jo sab kuchh plan kar rha hai.. Kaaryon ke nimit ban rha hai use bhi toh rest chaiye, sukh chaiye... Decision making ke liye buddhi kitni achhi chaiye. Agar chhoti chhoti baaton ke vistaar mein jate rahe.. Ki nai behn ji... Aapko neeche nai kiya.. Aap comparison nai karo, humne yeh yeh kiya.. Aap yeh karo... Aap naaraaz nai ho mera bhaav samjho... Toh baba ko yaad karna aur sewa ki safalta toh bhool hi jao.. Sewa ki.. Sambandhon ki safalta tab hoti hai.. Jab sab ek mat ho.. Responsible ho aur swachintan kare.. Mujhe kya praapti hai.. Baap ne kya kha hai.. Kalyaan kya hai isme.. Ratan kya chhipe hai sabme... Kamiyon ko dekhne ki aankh band ho.... Dooradeshi buddhi ho.. Ek lakshya ho... Toh lakshan aape hi aate hai... Koi gire toh use uthana hai.. Khush nai hona hai.. Ki Dekha.. Kami dekho toh swamaan badana hai... Apmaan nai karna ki aur hi dilshikast ho jaye doosra..Safalta par badhai deni hai irsha nai karni hai.. Kamiyan nai dhoondni hai.. Maza khraab nai karna hai.. Khud ke liye prerna leni hai.. Seekhna hai..apnj yogyataon par work karna hai . Irsha vyakti se nai karte hum , safalta se karte hai.. Safalta ko neg energy denge toh kya wo aaegi humare paas. Isiliye badi hi sayanap chaiye is gyan marg mein... Hum swarg bnane chale hai... Toh humare chalan mein, drishti mein, vriti mein, swabhaav mein wo divya chaiye jo dekhe toh uske dil se nai nikle ki yeh sab anek hote huye bhi ek hai. 

Comments